1. |
Sawera
04:08
|
|
||
Raat ke andhere mere zehen mein bas gaye
Aasman mein baadal the, rooth ke vo baras gaye
Tere bin hun kho gaya, kis jahan mein bhatke
Humko maalum hai tu kaha, hai tu kahan
To aao, ban ke sawera
Bhula do gham mere
mita do andhera
To aao, ban ke sawera
Yeh gham hain aashna
Hain jo tere bina
Tere bina
Dil ke jo paigam the, unme apne naam the
Kuchh jale aur kuchh mite, raaste gumnaam the
Tere bin hun kho gaya, kis jahan mein bhatke
Humko maalum hai tu kaha, hai tu kahan
To aao, ban ke sawera
Bhula do gham mere
mita do andhera
To aao, ban ke sawera
Yeh gham hain aashna
Hain jo tere bina
Tere bina
|
||||
2. |
Wajood
03:19
|
|
||
Inn raahon mein chalke, baadal barse
Tera naam tha zuban par
Andhere mein dikhta nahi hai aasman humko
Apni majboori hum, na bol payenge
Shayad andheron mein hi kho jayenge
Par koi
Shikwa nahi hai aaj
Na koi gila hai
Yeh raat
Apne wajood se
Pehle mitegi
Inn kaaton mein chalke, thi payi manzil
Tere bin hai adhuri
Sannato mein sunti nahi hai teri aawaz
Apni majboori hum, na bol payenge
Shayad andheron mein hi kho jayenge
Par koi
Shikwa nahi hai aaj
Na koi gila hai
Yeh raat
Apne wajood se
Pehle mitegi
|
||||
3. |
Mere Haal Ki
03:58
|
|
||
Haathon ka yeh mael
Dhulta nahin hai
Jism mein hai zaher
Nikalta nahi hai
Bediyon mein hai kaid
Sambhalta nahin hai
Jam sa gaya hai dil
Pighalta nahin hai
Hai kya dawa
Ya hai dua
Mere haal ki
Jisko bhi choo lun main
Bikharta yahin hai
Tukdo ko jodun main par fir bhi
Banta nahi hai
Hai kya dawa
Ya hai dua
Mere haal ki
|
||||
4. |
Laal Rang
04:00
|
|
||
5. |
|
|||
6. |
Intezaar
03:31
|
|
||
Tere kadmo ki vo aahat kuchh din se nahin hai
Teri saason ki khushbu par hai yahin
Kuchh hi pal ki thi kuchh hi baatein
Lagti ek sadi hai
Parchhaiyan nahin, teri chhav hai yahin
Jaao na
Mujhe peeche chhod kar tum
Socho na
Waapas aa jao fir
Mud ke yun
Peeche dekho ek baar
Mein hun yahin
Hai intezaar
Tere lafzo ki aawazein kuchh din se nahin hain
Teri dhadkan ki goonjein hoti rahi
Kuchh hi pal ki thi kuchh hi baatein
Lagti ek sadi hai
Parchhaiyan nahin, teri chhav hai yahin
Jaao na
Mujhe peeche chhod kar tum
Socho na
Waapas aa jao fir
Mud ke yun
Peeche dekho ek baar
Mein hun yahin
Hai intezaar
Jaao na
Mujhe peeche chhod kar tum
Socho na
Waapas aa jao fir
Mud ke yun
Peeche dekho ek baar
Mein hun yahin
Hai intezaar
|
||||
7. |
|