1. |
Roko Na Mujhe
03:32
|
|
||
Kabhi kabhi mein ye sochta hun
Kyun mein khud se khafa hun
Aage bad kar ja pahuchu mein
Us paar mera gaon
Har Koi tokta hai
Badne se rokta hai mujhe
Thehre Thehre kadam hain
Kaise dhoondu mein apni rahein
Na Na Na Na
Roko na; Roko na mujhe
Na Na Na Na
Choone do aasman mujhe
Bhoolna hai
Jo bhi tumne sikhaya mujhe
Na Na Na Na
Roko Na; Roko na mujhe
Khamoshi mein cheekhta hun
Tukda Tukda bata hun
Aene ke dayro mein
Simta sa kyun mein khada hun
Kahin peeche bhool aaya
Apna ek chota saya
Mujhse vo poochta hai
Use kho ke kya meine paya
Na Na Na Na
Roko na; Roko na mujhe
Na Na Na Na
Choone do aasman mujhe
Bhoolna hai
Jo bhi tumne sikhaya mujhe
Na Na Na Na
Roko Na; Roko na mujhe
|
||||
2. |
Gunah
03:40
|
|
||
[In Devanagari Script]
मैं झूठा ही सही
झूठे हैं सभी
सोचो अगर
मैं अपना भी नहीं
तेरा था कभी
ओ बेखबर
मैं ऐसे मोड़ पर
लाया हूँ तुझे
तेरे बीते दिन की यादें
अब हैं फिर यहाँ
तेरे आसुओं की वजह
हैं मेरे गुनाह
मैं बुजदिल ही सही
बुजदिल हैं सभी
सोचो अगर
मैं शायद खो जाऊँगा
दुनिया की भीड़ में
ओ हमसफ़र
मैं ऐसे मोड़ पर
लाया हूँ तुझे
तेरे बीते दिन की यादें
अब हैं फिर यहाँ
तेरे आसुओं की वजह
हैं मेरे गुनाह
[In English Script]
Mein jhoota hi sahi
Jhoote hain sabhi
Socho agar
Mein apna bhi nahin
Tera tha kabhi
O bekhabar
Mein aise mod par
Laaya hun tujhe
Tere beete din ki yaadein
Ab hain fir yahan
Tere aasuon ki vajeh
Hain mere gunah
Mein buzdil hi sahi
Buzdil hain sabhi
Socho agar
Mein shayad kho jaonga
Duniya ki bheed mein
O humsafar
Mein aise mod par
Laaya hun tujhe
Tere beete din ki yaadein
Ab hain fir yahan
Tere aasuon ki vajeh
Hain mere gunah
|
||||
3. |
Main Jaaonga
03:30
|
|
||
Usne ye kaha
Kyun hai tu khafa
Teri zindagi mein hai vo pal
Aana bhi bacha
Kyun kho kar yakin
Apni aawaz mein
Tera aasman hai
Tera hi to hai jahan
Mere lekin kuch din hain aise
Aaj hun par kal naa jaane kahan
Main jaaonga
Ek din magar main Jaaonga
Usne ye kaha
Tu hai aazad fir
Teri har khushi mein hai
Teri zid teri manzil
Ghum hokar yu kahin
Iss jhoothe gaaon mein
Naa khona tu yakin
Tere sang hai mera ye dil
Mere lekin kuch din hain aise
Aaj hun par kal naa jaane kahan
Main jaaonga
Ek din magar main Jaaonga
Mujhse yu kyun khafa hai tu
Kyun ye doori, kyun juda hai tu
Khokar apne dil ki ye aawazein
Apni manzil se fanaa hai tu
Main chahunga tujhko magar
Main Jaaonga
Main jaaonga
Ek din magar main Jaaonga
|